Thursday, August 2, 2007

YAARI

Teri yaari mein yaar guzaara na hua,
Alvida kehne mein dard dobaara na hua.

Ek woh khushiyon ki daali thi,
Aur hatheli khaali thi,
Shazar ka bhi magar tujhe nazaara na hua,
Afsos mera khwaab tumhaara na hua,
Teri yaari mein yaar guzaara na hua.

Door kshitij ki bulandi thi,
Maana raftar mein mere mandi thi,
Par thoda sa intezaar tujhe gawaara na hua,
Khudgarzi se tera kabhi ubaara na hua,
Teri yaari mein yaar guzaara na hua.

Jad toh tera hi vaada tha,
Ki meri tanhayi mein shaqs ek zyada tha,
Vaadon ka magar mujhe sahara na hua,
Gham ke galiyon se kabhi chutkaara na hua,
Teri yaari mein yaar guzaara na hua.

Teri yaari mein yaar guzaara na hua,
Alvida kehne mein dard dobaara na hua.

1 comment:

Pankaj said...

dard dubara nahi hua....wah..